Monday, December 1, 2008

No Entry ki Kahani, No Entry ki Jubani

Sadak chhaap No Entry ka board hoon main

Dilli shehar main daba hua ek aur shor hoon main.



Kisi beeti hui kaal ki baat hai

Jab main Sadak pe hua karta tha

Pandara road connector par

Main khada hua rehtaa tha



Polish meri shandaar thi

Posture mera shakht

Policewala paas tha toh

Log maante the haar waqt.



Phir lagi mujhe TB ki beemari

Pollution aur Shor ne kari meri haalat buri.

Bekkar ki dhakka dhakki me

Shirt ki crease bhi bigad ne lagi.



Aur phir ek din kuch sahibzade

Sharaab mein dhut mujh se baate karne lage

Maine sunai unhe apni kahani

Unhe chada tha josh: ab thi meri zindegi banani.



Aaj Avinash mera dost hai

Uska doorstep mera ghar hai

Khada hua sa rehta hoon

Dari Dari awaaz mein kehta hoon.



"No Entry".

1 comment:

thecorporatehippy said...

Aaj Avinash mera dost hai...

Kya khoob nibhayi dosti
kismat kisey nahin kosti
Raston ka nirdeshak banta phir raha tha
Be-imaan, be-adab, behisaab logon se ghir raha tha

Avinash, tum aye to mera astitva khada hua
Darwaze pe dua doonga yun hi ada hua

Tumhara daaman kabhi nahin chodoongo
No entry ka wada kabhi nahin todoonga..